Thi Meri Ham-safri Ek Dua Uske Liye

thi meri ham-safri ek dua us ke liye

ye bichhaDna hai baDi saKHt saza us ke liye

ab koi silsila-e-tark-o-talab hi na raha

aankh mein ek bhi manzar na ruka us ke liye

us ke KHwabon ko na de mausam-e-tabir mera

koi paigham na le jae saba us ke liye

harf ko lafz na kar lafz ko izhaar na de

koi taswir mukammal na bana us ke liye

main use bhul bhi jaun magar ai be-KHabari

meri chup us ke liye meri nawa us ke liye

'ramz' de jae to kya rang koi mera lahu

'ramz' pis jae to kiya barg-e-hina us ke liye

(515) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thi Meri Ham-safri Ek Dua Uske Liye In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. Thi Meri Ham-safri Ek Dua Uske Liye is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem Thi Meri Ham-safri Ek Dua Uske Liye for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download Thi Meri Ham-safri Ek Dua Uske Liye in PDF.