Us Par Banti MiTti Dhanak Uske Nam Ki

us par banti miTti dhanak us ke nam ki

is par main hun aur siyahi hai sham ki

kin kin bulandiyon se ulajhta raha hai zehn

ye aasman jhalak bhi nahin us ke baam ki

alfaz ki giraft se hai mawara hanuz

ek baat kah gaya wo magar kitne kaam ki

ejaz de raha hun ab apne hunar ko main

shamshir ke liye hai zarurat niyam ki

ek raushni si mujh pe utarti hai gah gah

buniyaad us ne Dali payam-o-salam ki

KHushbu ka koi rang na paikar na pairahan

taswir hai magar tere tarz-e-KHiram ki

bolo ki tum bhi rakhte ho ek sarguzisht 'ramz'

sambhlo ki us ne apni kahani tamam ki

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Par Banti MiTti Dhanak Uske Nam Ki In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. Us Par Banti MiTti Dhanak Uske Nam Ki is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem Us Par Banti MiTti Dhanak Uske Nam Ki for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download Us Par Banti MiTti Dhanak Uske Nam Ki in PDF.