Juz Rishta-e-KHulus Ye Rishta Kuchh Aur Tha

juz rishta-e-KHulus ye rishta kuchh aur tha

tum mere aur kuchh main tumhaara kuchh aur tha

jo KHwab tum ne mujh ko sunaya tha aur kuchh

tabir kah rahi hai ki sapna kuchh aur tha

ham-rahiyon ko jashn manane se thi gharaz

manzil hanuz dur thi rasta kuchh aur tha

ummid-o-bim, ishrat-o-usrat ke darmiyan

ek kashmakash kuchh aur thi, kuchh tha kuchh aur tha

hum bhi the yun to mahw-e-tamasha-e-dahr par

dil mein khaTak si thi ki tamasha kuchh aur tha

jo baat tum ne jaisi suni Thik hai wahi

main kya kahun ki yar ye qissa kuchh aur tha

'ahmad' ghazal ki apni rawish apne taur hain

main ne kaha kuchh aur hai socha kuchh aur tha

(526) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Juz Rishta-e-KHulus Ye Rishta Kuchh Aur Tha In English By Famous Poet Mohammad Ahmad. Juz Rishta-e-KHulus Ye Rishta Kuchh Aur Tha is written by Mohammad Ahmad. Read famous Poem Juz Rishta-e-KHulus Ye Rishta Kuchh Aur Tha for youth and Student by Mohammad Ahmad. Free Download Juz Rishta-e-KHulus Ye Rishta Kuchh Aur Tha in PDF.