ZaKHm Ka Indimal Hote Hue

zaKHm ka indimal hote hue

main ne dekha kamal hote hue

hijr ki dhup kyun nahin Dhalti

jashn-e-sham-e-visal hote hue

de gai mustaqil KHalish dil ko

aarzu paemal hote hue

log jite hain jina chahte hain

zindagani wabaal hote hue

kis qadar iKHtilaf karta hai

wo mera ham-KHayal hote hue

pa-e-ilzam aa rukin mujh par

sari aankhen sawal hote hue

aaj bhi log ishq karte hain

samne ki misal hote hue

KHud se hans kar na mil sake 'ahmad'

KHush-suKHan KHush-KHisal hote hue

(465) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ZaKHm Ka Indimal Hote Hue In English By Famous Poet Mohammad Ahmad. ZaKHm Ka Indimal Hote Hue is written by Mohammad Ahmad. Read famous Poem ZaKHm Ka Indimal Hote Hue for youth and Student by Mohammad Ahmad. Free Download ZaKHm Ka Indimal Hote Hue in PDF.