Bikharti KHak Mein Koi KHazana DhunDhti Hai

bikharti KHak mein koi KHazana DhunDhti hai

thaki-haari zamin apna zamana DhunDhti hai

shajar kaTte chale jate hain dil ki bastiyon mein

teri yaadon ki chiDiya aashiyana DhunDhti hai

yaqin ki sar-zamin zahir hui ujDe lahu mein

ye arz-e-be-watan apna tarana DhunDhti hai

bhaTakti hai tujhe milne ki KHwahish mahfilon mein

ye KHwahish KHwahishon mein aastana DhunDhti hai

tere gham ka KHumar utra adhuri kaifiyat mein

ye kaifiyyat koi mausam purana DhunDhti hai

bikharta hun judai ki akeli wusaton mein

ye virani mere ghar mein Thikana DhunDhti hai

meri miTTi sajai ja rahi hai aanganon mein

ye raston par taDapne ka bahana DhunDhti hai

(523) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bikharti KHak Mein Koi KHazana DhunDhti Hai In English By Famous Poet Mohammad Ajmal Niyazi. Bikharti KHak Mein Koi KHazana DhunDhti Hai is written by Mohammad Ajmal Niyazi. Read famous Poem Bikharti KHak Mein Koi KHazana DhunDhti Hai for youth and Student by Mohammad Ajmal Niyazi. Free Download Bikharti KHak Mein Koi KHazana DhunDhti Hai in PDF.