Ek ShaKHs Jazira Raazon Ka Aur Hum Sab IsMein Rahte Hain

ek shaKHs jazira raazon ka aur hum sab is mein rahte hain

ek ghar hai tanha yaadon ka aur hum sab is mein rahte hain

ek mausam hare parindon ka wo sard hawa ka rizq hua

ek gulshan KHali peDon ka aur hum sab is mein rahte hain

ek aankh hai dariya aankhon ka har manzar us mein Dub gaya

ek chehra sahra chehron ka aur hum sab is mein rahte hain

ek KHwab KHazana nindon ka wo hum sab ne barbaad kiya

ek nind KHaraba KHwabon ka aur hum sab is mein rahte hain

ek lamha lakh zamanon ka wo maskan hai viranon ka

ek ahd bikharte lamhon ka aur hum sab is mein rahte hain

ek rasta us ke shahron ka hum us ki dhul mein dhul hue

ek shahr us ki ummidon ka aur hum sab is mein rahte hain

(544) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek ShaKHs Jazira Raazon Ka Aur Hum Sab IsMein Rahte Hain In English By Famous Poet Mohammad Ajmal Niyazi. Ek ShaKHs Jazira Raazon Ka Aur Hum Sab IsMein Rahte Hain is written by Mohammad Ajmal Niyazi. Read famous Poem Ek ShaKHs Jazira Raazon Ka Aur Hum Sab IsMein Rahte Hain for youth and Student by Mohammad Ajmal Niyazi. Free Download Ek ShaKHs Jazira Raazon Ka Aur Hum Sab IsMein Rahte Hain in PDF.