Gahri Aaankhon Mein Ye Kaisi Hai BichhaDti Mahfilon Ki Raushni

gahri aaankhon mein ye kaisi hai bichhaDti mahfilon ki raushni

ajnabi logon mein dekhi main ne apne doston ki raushni

manzilon par wo pahunch kar bhi abhi tak manzilon jaisa nahin

us ki sochon se bandhi hai raste ke manzaron ki raushni

us ke mere darmiyan pakizgi ka raqs to hota nahin

ek parde ki tarah rahti hai nangi KHwahishon ki raushni

main ne us ko KHwab mein dekha to wo ek aur hi duniya mein tha

us ke har jaanib bikharti ja rahi thi rat-jagon ki raushni

ab to us ka dard bhi 'ajmal' samundar ki tarah gahra nahin

is jazire mein bhaTakti hai akele sahilon ki raushni

(466) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gahri Aaankhon Mein Ye Kaisi Hai BichhaDti Mahfilon Ki Raushni In English By Famous Poet Mohammad Ajmal Niyazi. Gahri Aaankhon Mein Ye Kaisi Hai BichhaDti Mahfilon Ki Raushni is written by Mohammad Ajmal Niyazi. Read famous Poem Gahri Aaankhon Mein Ye Kaisi Hai BichhaDti Mahfilon Ki Raushni for youth and Student by Mohammad Ajmal Niyazi. Free Download Gahri Aaankhon Mein Ye Kaisi Hai BichhaDti Mahfilon Ki Raushni in PDF.