Hum Akele Hi Sahi Shahr Mein Kya Rakhte The

hum akele hi sahi shahr mein kya rakhte the

dil mein jhanko to kai shahr basa rakhte the

ab kise dekhne baiThe ho liye dard ki zau

uTh gae log jo aankhon mein haya rakhte the

is tarah taza KHudaon se paDa hai pala

ye bhi ab yaad nahin hai ki KHuda rakhte the

chhin kar kis ne bikhera hai shuaon ki tarah

raat ka dard zamane se bacha rakhte the

le gain jaane kahan garm hawaen un ko

phul se log jo daman mein saba rakhte the

kal jo dekha to wo aankhon mein liye phirta tha

hae wo chiz ki hum sab se chhupa rakhte the

taza zaKHmon se chhalak uTThin purani Tisen

warna hum dard ka ehsas naya rakhte the

ye jo rote hain liye aankh mein TuTe tare

apne chehre pe kabhi chand saja rakhte the

aaj wo shahr-e-KHamoshan ki tarah hain 'ajmal'

kal talak shahr mein jo dhum macha rakhte the

(510) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Akele Hi Sahi Shahr Mein Kya Rakhte The In English By Famous Poet Mohammad Ajmal Niyazi. Hum Akele Hi Sahi Shahr Mein Kya Rakhte The is written by Mohammad Ajmal Niyazi. Read famous Poem Hum Akele Hi Sahi Shahr Mein Kya Rakhte The for youth and Student by Mohammad Ajmal Niyazi. Free Download Hum Akele Hi Sahi Shahr Mein Kya Rakhte The in PDF.