Iztirab-e-KHak-e-amjad Mein Kahin Rahta Hai Wo

iztirab-e-KHak-e-amjad mein kahin rahta hai wo

kaenat-e-ruh-e-ahmad mein kahin rahta hai wo

daera-dar-daera sadiyan bulati hain use

sachchi aawazon ke gumbad mein kahin rahta hai wo

DhunDne nikle hain jis ko ilm ke sahra mein hum

dard-o-gham ki rah-e-abjad mein kahin rahta hai wo

yaad aata hai musibat main duaon ki tarah

shahr ke viran mabad mein kahin rahta hai wo

muntazir hai zarre zarre ki nigahon mein lahu

surKH-ru hone ki sarhad mein kahin rahta hai wo

munkashif hoti hui hairat mein us ko dekhiye

ek nigah-e-KHwab ki zad mein kahin rahta hai wo

ek irade ki tarah 'ajmal' dilon ke darmiyan

arz-e-jaan ki aaKHiri had mein kahin rahta hai wo

(491) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Iztirab-e-KHak-e-amjad Mein Kahin Rahta Hai Wo In English By Famous Poet Mohammad Ajmal Niyazi. Iztirab-e-KHak-e-amjad Mein Kahin Rahta Hai Wo is written by Mohammad Ajmal Niyazi. Read famous Poem Iztirab-e-KHak-e-amjad Mein Kahin Rahta Hai Wo for youth and Student by Mohammad Ajmal Niyazi. Free Download Iztirab-e-KHak-e-amjad Mein Kahin Rahta Hai Wo in PDF.