Aawazon Ke Jangal Mein Sunai Nahin Deta

aawazon ke jangal mein sunai nahin deta

wo bhiD hai chehra bhi sujhai nahin deta

aafaq ki wusat mein bikharne ko hun bechain

kyun jism ke zindan se rihai nahin deta

wo haqq-e-rifaqat ki riwayat ka amin hai

wo haq bhi to ek bhai ko bhai nahin deta

paD jae agar waqt to is daur mein koi

parbat to baDi baat hai rai nahin deta

barish mein bhi wo bhigta rahta hai KHushi se

aandhi mein bhi wo peD duhai nahin deta

be mange bhi de deta hai shahi jise chahe

aur mangne wale ko gadai nahin deta

wo shaKHs jo rahta hai 'asar' aankh mein har-dam

hairat hai ki KHud mujh ko dikhai nahin deta

(682) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aawazon Ke Jangal Mein Sunai Nahin Deta In English By Famous Poet Mohammad Ali Asar. Aawazon Ke Jangal Mein Sunai Nahin Deta is written by Mohammad Ali Asar. Read famous Poem Aawazon Ke Jangal Mein Sunai Nahin Deta for youth and Student by Mohammad Ali Asar. Free Download Aawazon Ke Jangal Mein Sunai Nahin Deta in PDF.