Ghazal-mizaj Hai Yaksar Ghazal Ka Lahja Hai

ghazal-mizaj hai yaksar ghazal ka lahja hai

sarapa jaise nazakat ka istiara hai

qadam qadam pe charaghon ki sans rukti hai

ki ab to shahron mein jina azab lagta hai

jhulasti sham badalne lagi hai pairahan

tere badan ki tamazat mein sehr kaisa hai

shagufta harf-e-nawa ajnabi se lagte hain

udas lafzon se apna qadim rishta hai

na mausamon mein mahak hai na rat-jagon mein asar

tumhaare shahr ka mausam bhi kitna phika hai

chahaar-samt KHayalon ki ret bikhri hui

hamari pyas ka manzar ye reg-e-sahra hai

ab apni tishna-labi par na jaiyega 'asar'

samundaron ka muhafiz bhi aaj pyasa hai

(688) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghazal-mizaj Hai Yaksar Ghazal Ka Lahja Hai In English By Famous Poet Mohammad Ali Asar. Ghazal-mizaj Hai Yaksar Ghazal Ka Lahja Hai is written by Mohammad Ali Asar. Read famous Poem Ghazal-mizaj Hai Yaksar Ghazal Ka Lahja Hai for youth and Student by Mohammad Ali Asar. Free Download Ghazal-mizaj Hai Yaksar Ghazal Ka Lahja Hai in PDF.