Har Taraf Raat Ka Phaila Hua Dariya Dekhun

har taraf raat ka phaila hua dariya dekhun

kis taraf jaun kahan Thahrun ki chehra dekhun

kis jagah Thahrun ki mazi ka sarapa dekhun

apne qadmon ke nishan par tera rasta dekhun

kab se main jag raha hun ye bataun kaise

aankh lag jae to mumkin hai sawera dekhun

na-KHuda zat ki patwar sambhaale rakhna

jab hawa tez chale KHud ko shikasta dekhun

din jo Dhal jae to phir dard koi jag uThe

sham ho jae to phir aap ka rasta dekhun

ab ye aalam hai ki tanhai hi tanhai hai

ye tamanna thi kabhi KHud ko bhi tanha dekhun

dida-e-KHwab ko ummid-e-mulaqat na de

kis tarah apne hi KHwabon ko sisakta dekhun

rang dhul jaen ghubar-e-gham-e-hasti ke 'asar'

ab ke manzar koi dekhun to anokha dekhun

(585) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Taraf Raat Ka Phaila Hua Dariya Dekhun In English By Famous Poet Mohammad Ali Asar. Har Taraf Raat Ka Phaila Hua Dariya Dekhun is written by Mohammad Ali Asar. Read famous Poem Har Taraf Raat Ka Phaila Hua Dariya Dekhun for youth and Student by Mohammad Ali Asar. Free Download Har Taraf Raat Ka Phaila Hua Dariya Dekhun in PDF.