Dil Ko Halak-e-jalwa-e-jaanan Banaiye

dil ko halak-e-jalwa-e-jaanan banaiye

is but-kade ko kaba-e-iman banaiye

tufan ban ke uThiye jahan-e-KHarab mein

hasti ko ek sharara-e-raqsan banaiye

dauDaiye wo ruh ki har zarra jag uThe

ujDe hue watan ko gulistan banaiye

phir dijiye nigah ko paigham-e-justuju

manzil se kyun nazar ko gurezan banaiye

aaKHir to KHatm hongi kahin qaid ki haden

yusuf ko aap raunaq-e-zindan banaiye

phir apne dil mein kijiye paida koi taDap

phir mushkil-e-hayat ko aasan banaiye

'jauhar' asiriyon ki koi intiha bhi hai

aazad ek nizam-e-pareshan banaiye

(1156) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ko Halak-e-jalwa-e-jaanan Banaiye In English By Famous Poet Mohammad Ali Jauhar. Dil Ko Halak-e-jalwa-e-jaanan Banaiye is written by Mohammad Ali Jauhar. Read famous Poem Dil Ko Halak-e-jalwa-e-jaanan Banaiye for youth and Student by Mohammad Ali Jauhar. Free Download Dil Ko Halak-e-jalwa-e-jaanan Banaiye in PDF.