Hum Maani-e-hawas Nahin Ai Dil Hawa-e-dost

hum mani-e-hawas nahin ai dil hawa-e-dost

raazi ho bas isi mein ho jis mein raza-e-dost

tughra-e-imtiyaz hai KHud ibtila-e-dost

us ke baDe nasib jise aazmae dost

yan jumbish-e-mizha bhi gunah-e-azim hai

chup-chap dekhte raho jo kuchh dikhae dost

milti nahin kisi ko sanad imtihan baghair

dar-o-rasan ke hukm ko samjho sila-e-dost

yaqub par fuzul hue log KHanda-zan

yan la-makan se aati hai bu-e-qaba-e-dost

kya kam tha hijr-e-yar hi phir us pe rashk-e-ghair

dushman ko bhi KHuda na kare mubtala-e-dost

hai ruh bhi nisar badan bhi nisar-e-yar

dil bhi fida-e-dost jigar bhi fida-e-dost

'jauhar' wo sabr aap hi dega agar hamein

hai imtiyaz-e-wada sabr-azma-e-dost

(1183) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Maani-e-hawas Nahin Ai Dil Hawa-e-dost In English By Famous Poet Mohammad Ali Jauhar. Hum Maani-e-hawas Nahin Ai Dil Hawa-e-dost is written by Mohammad Ali Jauhar. Read famous Poem Hum Maani-e-hawas Nahin Ai Dil Hawa-e-dost for youth and Student by Mohammad Ali Jauhar. Free Download Hum Maani-e-hawas Nahin Ai Dil Hawa-e-dost in PDF.