KHak Jina Hai Agar Maut Se Darna Hai Yahi

KHak jina hai agar maut se Darna hai yahi

hawas-e-zist ho is darja to marna hai yahi

qulzum-e-ishq mein hain nafa o salamat donon

is mein Dube bhi to kya par utarna hai yahi

qaid-e-gesu se bhala kaun rahega aazad

teri zulfon ka jo shanon pe bikharna hai yahi

ai ajal tujh se bhi kya KHak rahegi ummid

wada kar ke jo tera roz mukarna hai yahi

aur kis waza ke juya hain urusan-e-bahisht

hain kafan surKH shahidon ka sanwarna hai yahi

had hai pasti ki ki pasti ko bulandi jaana

ab bhi ehsas ho is ka to ubharna hai yahi

tujh se kya subh talak sath nibhega ai umr

shab-e-furqat ki jo ghaDiyon ka guzarna hai yahi

ho na mayus ki hai fath ki taqrib shikast

qalb-e-momin ka meri jaan nikharna hai yahi

naqd-e-jaan nazr karo sochte kya ho 'jauhar'

kaam karne ka yahi hai tumhein karna hai yahi

(1740) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHak Jina Hai Agar Maut Se Darna Hai Yahi In English By Famous Poet Mohammad Ali Jauhar. KHak Jina Hai Agar Maut Se Darna Hai Yahi is written by Mohammad Ali Jauhar. Read famous Poem KHak Jina Hai Agar Maut Se Darna Hai Yahi for youth and Student by Mohammad Ali Jauhar. Free Download KHak Jina Hai Agar Maut Se Darna Hai Yahi in PDF.