KHugar-e-jaur Pe ThoDi Si Jafa Aur Sahi

KHugar-e-jaur pe thoDi si jafa aur sahi

is qadar zulm pe mauquf hai kya aur sahi

KHauf ghammaz adalat ka KHatar dar ka Dar

hain jahan itne wahan KHauf-e-KHuda aur sahi

ahd-e-awwal ko bhi achchha hai jo pura kar do

tum wafadar ho thoDi si wafa aur sahi

jis ne hangama adalat ka teri dekha hai

us gunahgar ko ek roz-e-jaza aur sahi

kishwar-e-kufr mein kabe ko bhi shamil kar lo

sair-e-zulmat ko thoDi si faza aur sahi

bandagi mein teri sahte hi hain lu ki lapTen

chand din ke liye dozaKH ki hawa aur sahi

din o dil ja hi chuka jaan bhi jati hai to jae

tarkash-e-kufr mein ek tir-e-qaza aur sahi

rabb-e-izzat ke liye bhi koi rahne do KHitab

tum KHudawand hi kahlao KHuda aur sahi

hukm-e-hakim na sahi marg-e-mufajat se kam

malik-ul-mulk pe iman ki saza aur sahi

hum wafa-keshon ka iman bhi hai parwana-sifat

sham-e-mahfil jo wo kafir na raha aur sahi

(943) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHugar-e-jaur Pe ThoDi Si Jafa Aur Sahi In English By Famous Poet Mohammad Ali Jauhar. KHugar-e-jaur Pe ThoDi Si Jafa Aur Sahi is written by Mohammad Ali Jauhar. Read famous Poem KHugar-e-jaur Pe ThoDi Si Jafa Aur Sahi for youth and Student by Mohammad Ali Jauhar. Free Download KHugar-e-jaur Pe ThoDi Si Jafa Aur Sahi in PDF.