Kis Se Aazurda Mere Qatil Ka KHanjar Ho Gaya

kis se aazurda mere qatil ka KHanjar ho gaya

kya hua jo aaj yun jame se bahar ho gaya

mera shohra aaj ek aalam mein ghar ghar ho gaya

tere hathon mujh ko qatil ye mayassar ho gaya

kyun nahin milta abhi tak tishna-lab hain baada-KHwar

kya tera saghar bhi saqi jam-e-kausar ho gaya

is qadar wahshat bhi ai dast-e-junun kis kaam ki

tere hathon mera jina bhi to dubhar ho gaya

josh-e-wahshat ka irada tha ki uryan hi rahe

bare mar kar ek kafan mujh ko mayassar ho gaya

us ki ruswai ka bhi aaya na tujh ko kuchh KHayal

kis qadar bebak tu ai dida-e-tar ho gaya

muzhda ai ganj-e-shahidan tere bhi din phir gae

aaj dil-bardashta duniya se 'jauhar' ho gaya

(1052) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Se Aazurda Mere Qatil Ka KHanjar Ho Gaya In English By Famous Poet Mohammad Ali Jauhar. Kis Se Aazurda Mere Qatil Ka KHanjar Ho Gaya is written by Mohammad Ali Jauhar. Read famous Poem Kis Se Aazurda Mere Qatil Ka KHanjar Ho Gaya for youth and Student by Mohammad Ali Jauhar. Free Download Kis Se Aazurda Mere Qatil Ka KHanjar Ho Gaya in PDF.