Qaid Aur Qaid Bhi Tanhai Ki

qaid aur qaid bhi tanhai ki

sharm rah jae shakebai ki

sujhta kya hamein un aankhon se

shart thi qalb ki binai ki

dar-e-but-KHana se baDhne hi na pae

garche ek umr jabin-sai ki

qais ko naqa-e-laila na mila

go bahut baadiya-paimai ki

hum ne har zarre ko mahmil paya

hai ye qismat tere sahrai ki

waqf hai us ke liye jaan-e-aziz

kabe ke KHadim o shaidai ki

kaba o quds mein ghar kiya ye bhi

ek ada hai mere harjai ki

nazar aaya hamein har chiz mein tu

us pe ye dhum hai yaktai ki

ishq aur jaur-e-sitamgar ka gila

had hai ai dil yahi ruswai ki

ishq ko hum ne kiya nazr-e-junun

umr bhar mein yahi danai ki

kar gai zinda-e-jawed hamein

tegh-e-qatil ne masihai ki

ho na taqlid dila maqtal mein

kahin musa se tamannai ki

na sahi tegh tajalli hi sahi

aankh jhapke na tamashai ki

kal ko hai phir wahi zindan 'jauhar'

Thik kiya aap se saudai ki

(1519) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qaid Aur Qaid Bhi Tanhai Ki In English By Famous Poet Mohammad Ali Jauhar. Qaid Aur Qaid Bhi Tanhai Ki is written by Mohammad Ali Jauhar. Read famous Poem Qaid Aur Qaid Bhi Tanhai Ki for youth and Student by Mohammad Ali Jauhar. Free Download Qaid Aur Qaid Bhi Tanhai Ki in PDF.