Tum Yun Hi Samajhna Ki Fana Mere Liye Hai

tum yun hi samajhna ki fana mere liye hai

par ghaib se saman-e-baqa mere liye hai

paigham mila tha jo husain ibn-e-ali ko

KHush hun wahi paigham-e-qaza mere liye hai

ye hur-e-bahishti ki taraf se hai bulawa

labbaik ki maqtal ka sila mere liye hai

kyun jaan na dun gham mein tere jab ki abhi se

matam ye zamane mein bapa mere liye hai

main kho ke teri rah mein sab daulat-e-duniya

samjha ki kuchh is se bhi siwa mere liye hai

tauhid to ye hai ki KHuda hashr mein kah de

ye banda zamane se KHafa mere liye hai

surKHi mein nahin dast-e-hina-basta bhi kuchh kam

par shoKHi-e-KHun-e-shohda mere liye hai

rahil hun musalman ba-sad-nara-e-takbir

ye qafila ye bang-e-dara mere liye hai

inam ka uqba ke to kya puchhna lekin

duniya mein bhi iman ka sila mere liye hai

kyun aise nabi par na fida hun ki jo farmae

achchhe to sabhi ke hain bura mere liye hai

ai shafa-e-mahshar jo kare tu na shafaat

phir kaun wahan tere siwa mere liye hai

allah ke raste hi mein maut aae masiha

iksir yahi ek dawa mere liye hai

ai chaaragaro chaaragari ki nahin hajat

ye dard hi daru-e-shifa mere liye hai

kya Dar hai jo ho sari KHudai bhi muKHalif

kafi hai agar ek KHuda mere liye hai

jo sohbat-e-aghyar mein is darja ho bebak

us shoKH ki sab sharm o haya mere liye hai

hai zulm tera aam bahut phir bhi sitamgar

maKHsus ye andaz-e-jafa mere liye hai

hain yun to fida abr-e-siyah par sab hi mai-kash

par aaj ki ghanghor ghaTa mere liye hai

(4144) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Yun Hi Samajhna Ki Fana Mere Liye Hai In English By Famous Poet Mohammad Ali Jauhar. Tum Yun Hi Samajhna Ki Fana Mere Liye Hai is written by Mohammad Ali Jauhar. Read famous Poem Tum Yun Hi Samajhna Ki Fana Mere Liye Hai for youth and Student by Mohammad Ali Jauhar. Free Download Tum Yun Hi Samajhna Ki Fana Mere Liye Hai in PDF.