Tishna-lab Hun Muddaton Se Dekhiye

tishna-lab hun muddaton se dekhiye

kab dar-e-mai-KHana-e-kausar khule

taqat-e-parwaz hi jab kho chuki

phir hua kya gar hawa mein par khule

chaak kar sine ko pahlu chir Dal

yun hi kuchh haal-e-dil-e-muztar khule

raat talchhaT tak na chhoDi tab kahin

raaz-ha-e-baada-o-saghar khule

lo wo aa pahuncha junun ka qafila

panw zaKHmi KHak munh par sar khule

hun jo kasrat hi ke qail un pe kya

raaz-e-fath-e-sibt-e-paighambar khule

ru-numai ke liye laya hun jaan

ab to shayad chehra-e-anwar khule

ab to kashti ke muafiq hai hawa

naKHuda kya der hai langar khule

ye nazar-bandi to nikli radd-e-sehr

dida-ha-e-hosh ab ja kar khule

ab kahin TuTa hai baatil ka tilism

haq ke uqde ab kahin hum par khule

ab hua hai ma-siwa ka parda fash

marifat ke ab kahin daftar khule

faiz se tere hi ai qaid-e-farang

baal o par nikle qafas ke dar khule

jite ji to kuchh na dikhlaya magar

mar ke 'jauhar' aap ke jauhar khule

(1051) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tishna-lab Hun Muddaton Se Dekhiye In English By Famous Poet Mohammad Ali Jauhar. Tishna-lab Hun Muddaton Se Dekhiye is written by Mohammad Ali Jauhar. Read famous Poem Tishna-lab Hun Muddaton Se Dekhiye for youth and Student by Mohammad Ali Jauhar. Free Download Tishna-lab Hun Muddaton Se Dekhiye in PDF.