Ghurbat Ka Ab Mazaq UDane Lage Hain Log

ghurbat ka ab mazaq uDane lage hain log

daulat ko sar ka taj batane lage hain log

tahzib-e-shahr kitni badal di hai waqt ne

apni riwayaton ko bhulane lage hain log

allah un ki aql ka parda zara haTa

phir apni beTiyon ko jalane lage hain log

had ho chuki hai ab to mere inkisar ki

kamtar samajh ke mujh ko satane lage hain log

ilzam sara apne muqaddar pe Dal kar

nakaamiyon ko apni chhupane lage hain log

sachchai ka alam mere hathon mein dekh kar

basti mein kitna shor machane lage hain log

maujon se laDte laDte jo sahil tak aa gaya

ehsan us pe apna jatane lage hain log

(5450) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghurbat Ka Ab Mazaq UDane Lage Hain Log In English By Famous Poet Mohammad Ali Sahil. Ghurbat Ka Ab Mazaq UDane Lage Hain Log is written by Mohammad Ali Sahil. Read famous Poem Ghurbat Ka Ab Mazaq UDane Lage Hain Log for youth and Student by Mohammad Ali Sahil. Free Download Ghurbat Ka Ab Mazaq UDane Lage Hain Log in PDF.