Jatan Karta To Hun Lekin Ye Bimari Nahin Jati

jatan karta to hun lekin ye bimari nahin jati

jo mere KHun mein shamil hai KHud-dari nahin jati

ye us ka kaam hai firqa-parasti chhoD de kaise

siyasat kuchh bhi kar le us ki makkari nahin jati

wo buDha shaKHs apni jaan tak nilam kar baiTha

magar afsos us ke ghar ki dushwari nahin jati

sulaya hai faqat pani pila kar us ne bachchon ko

hain aansu KHushk lekin us ki siskari nahin jati

meri gham-KHwar ye duniya na ho to gham nahin 'sahil'

meri fitrat mein shamil hai ye gham-KHwari nahin jati

(587) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jatan Karta To Hun Lekin Ye Bimari Nahin Jati In English By Famous Poet Mohammad Ali Sahil. Jatan Karta To Hun Lekin Ye Bimari Nahin Jati is written by Mohammad Ali Sahil. Read famous Poem Jatan Karta To Hun Lekin Ye Bimari Nahin Jati for youth and Student by Mohammad Ali Sahil. Free Download Jatan Karta To Hun Lekin Ye Bimari Nahin Jati in PDF.