Justuju Teri Tarah Gham Teri Qurbat Kya Hai

justuju teri tarah gham teri qurbat kya hai

sochta rahta hun aaKHir ye mohabbat kya hai

hum ne logon se bahut zikr suna tha lekin

un ko dekha to ye jaana ki qayamat kya hai

wahshi duniya hai tera pyar nahin samjhegi

apne jazbaat dikhane ki zarurat kya hai

ye bhi qudrat ka karishma hai ki duniya mein koi

aaj tak ye na samajh paya ki qudrat kya hai

tu ne duniya ki hawas dil mein basa rakkhi hai

tere iman se baDh kar teri daulat kya hai

ek teri zat se qaem hai wajud insan ka

warna insan ki duniya mein haqiqat kya hai

jism ka husn teri ruh talak hai sahil

ye nahin ho to ye miTTi ki imarat kya hai

(580) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Justuju Teri Tarah Gham Teri Qurbat Kya Hai In English By Famous Poet Mohammad Ali Sahil. Justuju Teri Tarah Gham Teri Qurbat Kya Hai is written by Mohammad Ali Sahil. Read famous Poem Justuju Teri Tarah Gham Teri Qurbat Kya Hai for youth and Student by Mohammad Ali Sahil. Free Download Justuju Teri Tarah Gham Teri Qurbat Kya Hai in PDF.