Aankh PaDti Hai Kahin Panw Kahin PaDta Hai

aankh paDti hai kahin panw kahin paDta hai

sab ki hai tum ko KHabar apni KHabar kuchh bhi nahin

shama hai gul bhi hai bulbul bhi hai parwana bhi

raat ki raat ye sab kuchh hai sahar kuchh bhi nahin

hashr ki dhum hai sab kahte hain yun hai yun hai

fitna hai ek teri Thokar ka magar kuchh bhi nahin

nisti ki hai mujhe kucha-e-hasti mein talash

sair karta hun udhar ki ki jidhar kuchh bhi nahin

la-makan mein bhi to ek jalwa nazar aata hai

be-kasi mein to udhar hun ki jidhar kuchh bhi nahin

ek aansu bhi asar jab na kare ai 'tishna'

faeda rone se ab dida-e-tar kuchh bhi nahin

(703) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh PaDti Hai Kahin Panw Kahin PaDta Hai In English By Famous Poet Mohammad Ali Tishna. Aankh PaDti Hai Kahin Panw Kahin PaDta Hai is written by Mohammad Ali Tishna. Read famous Poem Aankh PaDti Hai Kahin Panw Kahin PaDta Hai for youth and Student by Mohammad Ali Tishna. Free Download Aankh PaDti Hai Kahin Panw Kahin PaDta Hai in PDF.