Din Bhar Ke Dahakte Hue Suraj Se LaDa Hun

din bhar ke dahakte hue suraj se laDa hun

ab raat ke dariya mein paDa Dub raha hun

ab tak main wahin par hun jahan se main chala hun

aawaz ki raftar se kyun bhag raha hun

rakhte ho agar aankh to bahar se na dekho

dekho mujhe andar se bahut TuT chuka hun

ye sab teri mahki hui zulfon ka karam hai

ek sans mein ek umr ke dukh bhul gaya hun

tu jism ke andar hai ki bahar hai kidhar hai

'alwi' meri jaan kab se tujhe DhunD raha hun

(493) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Bhar Ke Dahakte Hue Suraj Se LaDa Hun In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Din Bhar Ke Dahakte Hue Suraj Se LaDa Hun is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Din Bhar Ke Dahakte Hue Suraj Se LaDa Hun for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Din Bhar Ke Dahakte Hue Suraj Se LaDa Hun in PDF.