Hazaron Lakhon Dilli Mein Makan Hain

hazaron lakhon dilli mein makan hain

magar pahchanne wale kahan hain

kahin par silsila hai koThiyon ka

kahin girte khanDar hain naliyan hain

kahin hansti chamakti suraten hain

kahin miTti hui parchhaiyan hain

kahin aawaz ke parde paDe hain

kahin chup mein kai sargoshiyan hain

qutub-sahib khaDe hain sar jhukae

qile par gidh bahut hi shadman hain

are ye kaun si saDken hain bhai

yahan to laDkiyan hi laDkiyan hain

likha milta hai diwaron pe ab bhi

to kya ab bhi wahi bimariyan hain

hawalon par hawale de rahe hain

ye sahab to kitabon ki dukan hain

mere aage mujhi ko koste hain

magar kya kijiye ahl-e-zaban hain

dikhaya ek hi dilli ne kya kya

bura ho ab to do do dilliyan hain

yahan bhi dost mil jate hain 'alwi'

yahan bhi doston mein talKHiyan hain

(591) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazaron Lakhon Dilli Mein Makan Hain In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Hazaron Lakhon Dilli Mein Makan Hain is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Hazaron Lakhon Dilli Mein Makan Hain for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Hazaron Lakhon Dilli Mein Makan Hain in PDF.