Kabhi To Aisa Bhi Ho Rah Bhul Jaun Main

kabhi to aisa bhi ho rah bhul jaun main

nikal ke ghar se na phir apne ghar mein aaun main

bikher de mujhe chaaron taraf KHalaon mein

kuchh is tarah se alag kar ki juD na paun main

ye jo akele mein parchhaiyan si banti hain

bikhar hi jaengi lekin kise dikhaun main

mera makan agar bich mein na aae to

in unche unche makanon ko phand jaun main

gawahi deta wahi meri be-gunahi ki

wo mar gaya to use ab kahan se laun main

ye zindagi to kahin KHatm hi nahin hoti

ab aur kitne dinon ye azab uThaun main

ghazal kahi hai koi bhang to nahin pi hai

mushaere mein tarannum se kyun sunaun main

are wo aap ke diwan kya hue 'alwi'

bike na hon to kabaDi ko sath laun main

(814) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi To Aisa Bhi Ho Rah Bhul Jaun Main In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Kabhi To Aisa Bhi Ho Rah Bhul Jaun Main is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Kabhi To Aisa Bhi Ho Rah Bhul Jaun Main for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Kabhi To Aisa Bhi Ho Rah Bhul Jaun Main in PDF.