Main Apna Nam Tere Jism Par Likha Dekhun

main apna nam tere jism par likha dekhun

dikhai dega abhi battiyan bujha dekhun

phir us ko paun mera intizar karte hue

phir us makan ka darwaza adh-khula dekhun

ghaTaen aaen to ghar ghar ko Dubta paun

hawa chale to har ek peD ko gira dekhun

kitab kholun to harfon mein khalbali mach jae

qalam uThaun to kaghaz ko phailta dekhun

utar phenkun badan se phaTi purani qamis

badan qamis se baDh kar kaTa-phaTa dekhun

wahin kahin na paDi ho tamanna jine ki

phir ek bar unhin jangalon mein ja dekhun

wo roz sham ko 'alwi' idhar se jati hai

to kya main aaj use apne ghar bula dekhun

(553) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Apna Nam Tere Jism Par Likha Dekhun In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Main Apna Nam Tere Jism Par Likha Dekhun is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Main Apna Nam Tere Jism Par Likha Dekhun for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Main Apna Nam Tere Jism Par Likha Dekhun in PDF.