Office Mein Bhi Ghar Ko Khula Pata Hun Main

office mein bhi ghar ko khula pata hun main

Table par sar rakh kar so jata hun main

gali gali main apne aap ko DhunDta hun

ek ek khiDki mein us ko pata hun main

apne sab kapDe us ko de aata hun

us ka nanga jism uTha lata hun main

bas ke niche koi nahin aata phir bhi

bas mein baiTh ke behad ghabraata hun main

marna hai to sath sath hi chalte hain

Thahar zara ghar ja ke abhi aata hun main

gaDi aati hai lekin aati hi nahin

rail ki paTri dekh ke thak jata hun main

'alwi' pyare sach sach kahna kya ab bhi

usi ko rota dekh ke yaad aata hun main

(621) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Office Mein Bhi Ghar Ko Khula Pata Hun Main In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Office Mein Bhi Ghar Ko Khula Pata Hun Main is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Office Mein Bhi Ghar Ko Khula Pata Hun Main for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Office Mein Bhi Ghar Ko Khula Pata Hun Main in PDF.