Yakka UlaT Ke Rah Gaya GhoDa BhaDak Gaya

yakka ulaT ke rah gaya ghoDa bhaDak gaya

kali saDak pe chand sa chehra chamak gaya

dekha use to aankh se parda sarak gaya

shoala sa ek jism ke andar lapak gaya

bahar gali mein khil gain kaliyan gulab ki

jhonka hawa ka aate hi kamra mahak gaya

mujh par nazar paDi to wo sharma ke rah gai

pahlu se us ke un ka gola luDhak gaya

koshish ke bawajud main bahar na aa saka

andar ka silsila to bahut dur tak gaya

main ne hi us ko qatl kiya tha ye sach hai par

sach sach bataun mera bhi ek ek pe shak gaya

'alwi' ne aaj din mein kahani sunai thi

shayad isi wajah se main rasta bhaTak gaya

(524) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yakka UlaT Ke Rah Gaya GhoDa BhaDak Gaya In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Yakka UlaT Ke Rah Gaya GhoDa BhaDak Gaya is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Yakka UlaT Ke Rah Gaya GhoDa BhaDak Gaya for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Yakka UlaT Ke Rah Gaya GhoDa BhaDak Gaya in PDF.