AaKHiri Din Ki Talash

KHuda ne quran mein kaha hai

ki logo main ne

tumhaari KHatir

falak banaya

falak ko taron se

chand suraj se jagmagaya

ki logo main ne

tumhaari KHatir

zamin banai

zamin ke sine pe

nadiyon ki lakiren khinchin

samundaron ko

zamin ki aaghosh mein biThaya

pahaD rakkhe

daraKHt ugae

daraKHt pe

phul phal lagae

ki logo main ne

tumhaari KHatir

ye din banaya

ki din mein kuchh kaam kar sako tum

ki logo main ne

tumhaari KHatir

ye shab banai

ki shab mein aaram kar sako tum

ki logo main ne

tumhaari KHatir

ye sab banaya

magar na bhulo

ki ek din main

ye sari chizen sameT lunga

KHuda ne jo kuchh kaha hai

sach hai

magar na jaane

wo din kahan hai

wo aaKHiri din

ki jab KHuda ye tamam chizen sameT lega

mujhe usi din ki justuju hai

ki ab ye chizen

bahut purani

bahut hi farsuda ho chuki hain

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHiri Din Ki Talash In English By Famous Poet Mohammad Alvi. AaKHiri Din Ki Talash is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem AaKHiri Din Ki Talash for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download AaKHiri Din Ki Talash in PDF.