Ab Jidhar Bhi Jate Hain

pahle aisa hota tha

bhant bhant ke bandar

shahr ki fasilon par

mahfilen jamate the

ghar mein kud aate the

hath mein se bachchon ke

roTi noch jate the

ab to wo madari bhi

KHali hath aata hai

bhik mang kar ghar ghar

ghar ko lauT jata hai

ab gharon mein chiDiyon ka

shor kyun nahin hota

raat ko koi ullu

peD par nahin rota

peD par nahin rota

laDte laDte chiDiyan kyun

farsh par nahin girtin

billiyan chhaton par kyun

ghumti nahin phirtin

ab na koi bulbul hai

aur na koi maina hai

ab na koi titar hai

aur na koi tota hai

kis se puchhne jaen

mor kaisa hota hai

Toliyan kabutar ki

kho gain fazaon mein

titliyon ke rangin par

bah gae hawaon mein

munh-andhere ab murgha

bang kyun nahin deta

ghar mein koi bakri ka

nam kyun nahin leta

kya hue daraKHton par

ghonsle parindon ke

koi bhi nahin kahta

qisse ab darindon ke

nanhe nanhe chuzon par

chil ka jhapaTna ab

dekhne kahan jaen

raste mein sanDon ka

pahron laDte rahna ab

dekhne kahan jaen

chhipkili ki jiti dum

ab thirakti kya paen

rang badalte girgiT ko

marte kahan jaen

gae bhains ka rewaD

ab idhar nahin aata

unT TeDha-meDha sa

ab nazar nahin aata

ab na ghoDe hathi hain

aur na wo baraati hain

ab gali mein kutton ka

bhaunkna nahin hota

raat chhat pe sote hain

bhut dekh kar koi

chaunkna nahin hota

ab jidhar bhi jate hain

aadmi ko pate hain

(768) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Jidhar Bhi Jate Hain In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Ab Jidhar Bhi Jate Hain is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Ab Jidhar Bhi Jate Hain for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Ab Jidhar Bhi Jate Hain in PDF.