Magar Main KHuda Se Kahunga

magar main KHuda se kahunga

KHuda-wand! meri saza tu kisi aur ko de

ki main ne yahan

is zamin par

sazaen qubulin hain un ki

ki jin se mujhe sirf itna talluq raha hai

ki main aur wo

donon tujh ko KHuda mante the!

ye sach hai

tera aks dekha tha hum ne alag aainon mein

magar main KHuda se kahunga

KHuda-wand! ye din qayamat ka din hai

ye wo din hai

jab tu ne hum sab pe apne ko zahir kiya hai

to is waqt mere gunahon se parda uTha kar

KHudawand! tu apni nuraniyon

apni tabaniyon ko mulawwis na kar

mujhe muaf kar de

use muaf kar de

ki main aur wo donon tujh ko KHuda mante the

ye sach hai

tera aks dekha tha hum ne alag aainon mein

hamein muaf kar de

ki hum ne sazaen qubul ki hain ek dusre ki!

hamein muaf kar de

ki sare gunah sari taqsiren

sach sach bataun

isi din ki KHatir hui thin

(558) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Magar Main KHuda Se Kahunga In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Magar Main KHuda Se Kahunga is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Magar Main KHuda Se Kahunga for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Magar Main KHuda Se Kahunga in PDF.