Main Aur Tu

KHuda-wand mujh mein kahan hausla hai

ki main tujh se nazren milaun

teri shan mein kuchh kahun

tujhe apni nazron se niche giraun

KHuda-wand mujh mein kahan hausla hai

ki tu

roz-e-awwal se pahle bhi maujud tha

aaj bhi hai

hamesha rahega

aur main

meri hasti hi kya hai

aaj hun

kal nahin hun

KHuda-wand mujh mein kahan hausla hai

magar aaj ek baat kahni hai tujh se

ki main aaj hun

kal nahin hun

ye sach hai magar

koi aisa nahin hai

ki jo mere hone se inkar kar de

kisi mein ye jurat nahin hai

magar tu

bahut log kahte hain tujh ko

ki tu wahm hai

aur kuchh bhi nahin hai

(488) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Aur Tu In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Main Aur Tu is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Main Aur Tu for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Main Aur Tu in PDF.