Dekhe Kahin Mujhko To Lab-e-baam Se HaT Jae

dekhe kahin mujh ko to lab-e-baam se haT jae

is waza se us ki mera dil kyunki na phaT jae

aa jae kahin baad ka jhonka to maza ho

zalim tere mukhDe se dupaTTa jo ulaT jae

ai nala-e-jaan-kah bahut ho chuki bas kar

Darta hun kahin nind kisi ki na uchaT jae

dekhe kahin raste mein khaDa mujh ko to zid se

aata ho idhar ko to udhar hi ko palaT jae

chal baiTh 'nisar' ek taraf KHalq se hokar

niklega wo ghar se pa kahin bhiD to chhaT jae

(527) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhe Kahin Mujhko To Lab-e-baam Se HaT Jae In English By Famous Poet Mohammad Amaan Nisar. Dekhe Kahin Mujhko To Lab-e-baam Se HaT Jae is written by Mohammad Amaan Nisar. Read famous Poem Dekhe Kahin Mujhko To Lab-e-baam Se HaT Jae for youth and Student by Mohammad Amaan Nisar. Free Download Dekhe Kahin Mujhko To Lab-e-baam Se HaT Jae in PDF.