Aur Pani Thahar Gaya

aur pani Thahar gaya aankhon mein chehra siyah hua

aur aankhen phail gain

aur aankhen phail gain aankhon mein hona gunah hua

us din sare likhne wale ghar aae aur luT gae

aur sab ki aankhen Thahar gain aur sab ka chehra phail gaya

mahi-giron ne us din be-andaza jal bune

aur bachche bhuke hi soe

aur maen bistar ban kise chup leT gain

aur jab mahi-giron ki basti mein raat aai

sab jal sameTe ghar aae aur lauT gae

aur sab ki aankhen Thahar gain aur sab ka chehra phail gaya

ye raat samundar par se ho kar aai thi

so beach samundar Thahar gai

us raat ki jis ne baat likhi wo ghar na gaya

wo beach samundar Thahar gaya

wo miTTi ki zanjiron se aazad hua

so aane wala kal jo nahin hai us ka hai

jab barf saron par aaegi tum jagoge

aur pichhle uni moze kaam na denge

aur shaalen sarsar khulti jaengi

aur biwiyan Dar kar uThengi

ai pichhli rut ke chalne wale luT chalo

murde mardon ko KHud dafn karenge

jab bache shaKHon par palte hon barish ka kya KHauf

han barish sagar ka pahla harkara hai

aur kilon ki ye joDi laDke kal tak sath na degi

wo aankhen miche hansti hai aur soti hai

laDke jaldi ghar aa jaana

pani Thahar gaya hai

aur laDka ghar na gaya

wo laDka ghar na gaya

aur dekhne walon ne dekha

wo barf ke tude khinchta tha aur rota tha

aur ghar pani ke beach jhakole khata tha

pani jo Thahar gaya

(448) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Pani Thahar Gaya In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Aur Pani Thahar Gaya is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Aur Pani Thahar Gaya for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Aur Pani Thahar Gaya in PDF.