Aur Phir Chand Nikalta Hai

aur phir chand nikalta hai

aur phir sara shahr simaT kar tere ghar ka aangan ban jata hai

aur sham se pahle so jaane wale bachche jag uThte hain

aur main tere sath na jaane kis kis ghar mein jata hun

kin kin logon se milta hun

aur tu sath nahin hota hai

aur mein tanha hi rahta hun

aur yun pichhli raat ka pila chand meri dahliz pe kachcha sona bikhraata hai

bhule-bisre chehre aankhen malte uThte hain

aur main ThanDe darwaze se lag kar so jata hun

agle din main kho jata hun

aur phir chand nikalta hai

aur phir sara shahr simaT kar tere ghar ka aangan ban jata hai

aur phir main so jata hun

(491) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Phir Chand Nikalta Hai In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Aur Phir Chand Nikalta Hai is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Aur Phir Chand Nikalta Hai for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Aur Phir Chand Nikalta Hai in PDF.