Dariya-e-charls Ke Kinare Ek Nazm

ye girja hai ki mujh par aasman ki mehrbani hai

salibi-jang mein sare sipahi kaam aae

ab kise pani pilaogi tum apne daman-e-tar se

uThaogi kise phaile hue bazu pe nile naKHunon par rok logi

aankh chehra

jab zamin par rakh hogi aur miTTi phail jaegi

tanaben rakh ho jaen to miTTi phail jati hai

zaminon aasmanon par

so girja mujh pe nile aasman ki mehrbani hai

ye dariya hai ki mujh par aasman ki mehrbani hai

zamin jab rakh ho jae to dariya phail jata hai

aur us ko rok leti ho tum apni KHushk aankhon mein

badan ki aaD de kar

jab sipahi raste mein baiTh jate hain

bichha dete hain saya pattiyon phulon kinaron ka

tumhaare daman-e-tar ka

utar jate hain gili jhaDiyon mein aag le kar

aasman dekha nahin jata

to bhigi ret ko sukhi hawa mein chhante hain

aur miTTi phail jati hai

ye miTTi mujh ko kal tak aasmanon mein uDati thi

ye dariya mujh ko kal tak khinch lata tha zaminon par

ye miTTi phailti jati hai

dariya sukhta jata hai

mujh par aasman ki mehrbani hai

(522) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dariya-e-charls Ke Kinare Ek Nazm In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Dariya-e-charls Ke Kinare Ek Nazm is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Dariya-e-charls Ke Kinare Ek Nazm for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Dariya-e-charls Ke Kinare Ek Nazm in PDF.