Ek Ittifaqi Maut Ki Rudad

sarasar ittifaqi maut thi

us ne kaha tha mujh ko jaana hai

so wo aise gaya jaise zamin se ghas jati hai

sarasar ittifaqan

panw chalne ke liye hote hain

itna to sabhi taslim karte hain

to aise mein agar miTTi ki uryani shikayat-gar bhi ho jae

to us par aur miTTi Dal dete hain

so hum ne Dal di miTTi-pe-miTTi

ittifaqan

ye to hota hai

sarasar ittifaqi hadisa tha

us ne KHud likha tha

duniya beach aana ittifaqi amr hai

jaana sarasar hadsati

to us par to adalat ne bhi kuchh hujjat nahin ki

us ne KHud likha tha

hujjat nafsiyati aariza hai

so adalat ne bila taftish use jaane diya

jaise zamin se ghas jati hai

sarasar ittifaqan

bil-umum aisa hi hota hai

hamesha ittifaqan

(568) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Ittifaqi Maut Ki Rudad In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Ek Ittifaqi Maut Ki Rudad is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Ek Ittifaqi Maut Ki Rudad for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Ek Ittifaqi Maut Ki Rudad in PDF.