Fana Ke Liye Ek Nazm

mehrbani raat ka pahla pahar hai

subh-e-zindan ki halakat

sham wahshat-gar ki maut

wajibuttazim hai wo shaKHs jo pahle mara

KHisht se kuza ghanimat

kuza-e-wahshat se wahshat-gar ki KHak

KHak se aab-e-namak

barishon mein main namak ka ghar banaun

barf-bari mein purane bans ka

tasht mein sindur chhide sikke saja kar beach raste par rakhun

raat ke kohre mein khiDki khol kar dekhun use

subh tak murda parinde

dopahar tak us ke hone ka guman

sham phir kohra khuli khiDki parinde

us ke aangan ki wahi ham-saegi

wo nahin marta jo pichhli raat tak jaga kiya

mehrbani raat ka pahla pahar hai

laDkiyon ne ghas par nazmen likhin

pasi ke maTke toD Dale

aanganon mein git gae ghar gain

bashon mein dhup si us aankh ne dekha mujhe

kis ko jangal chahiye kis ko samundar chahiye

ye haya-alud sham

khiDkiyon se khiDkiyon tak jhilmilati ja rahi hai

qissa-gar zindan se chal kar aae hain

aanganon ko saf kar lo

laDkiyon ko sham ka khana khila do

sham se pahle sula do

wahshaton ki nind kachchi aankh ko zeba nahin

sham KHwab-e-qissa-gar hai qissa-e-zindan-e-sham

mehrbani raat ka pahla pahar hai

(491) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fana Ke Liye Ek Nazm In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Fana Ke Liye Ek Nazm is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Fana Ke Liye Ek Nazm for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Fana Ke Liye Ek Nazm in PDF.