Ji Darta Hai

ji Darta hai be-gharaz mohabbat karne wale

achchhi nasl ke doston se

unhen dariya beach jawab mila

ye kashti chhe shahtiron aur das kilon se

yahin dariya bich banai thi

so us mein aag lagi

ji Darta hai

tumhein lauT ke aana achchha laga

mujhe chhat ki belen hari milen

unhen dhup na dena jaDon mein

ye bistar mere ghar ke nahin

tumhein fikr hui mujhe KHauf aaya

sab jaanna achchha hota hai magar aksar farq nahin paDta sab jaanne se

jab kashti Dubne lagti hai

main jaanta hun

mujhe tairna aana chahiye tha

be-gharaz mohabbat karne wale achchhi nasl ke doston ki hamrahi mein

mujhe un se alag

kuchh apne liye bhi sochna chahiye tha

main jaanta hun

ye aag izafi koshish thi

jab kashti Dubne lagti hai tab kashti Dubne lagti hai

ab lauT aae to fikr karo

ye kashti Dub bhi sakti thi

ye bistar bhig bhi sakte the

ye dariya lauT bhi sakta tha

be-gharaz mohabbat karne wale achchhi nasl ke doston ki hamrahi mein

har kaam ulaT ho sakta tha

(608) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ji Darta Hai In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Ji Darta Hai is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Ji Darta Hai for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Ji Darta Hai in PDF.