Jo Yun Hota To Kya Hota

ye masdar ism-e-mazi ka nahin hai

aap kahiye to bata dete hain hone ko

jo yun hota to kya hota

na hota gar juda tan se to zanu par dhara hota

wo tum se ibn-e-muljim ka pata puchhen to kahna

chaar hafton se bahut masruf hai

roTi nahin khai

saron ki fasl bar-e-KHushk-sali se garan hai

log masjid bhi nahin jate

main us ko masjid-e-zarrar ke bahar milunga

wo ghoDon ki tarah the

farba-andami pe mail

sath wali khiDkiyon par hinhinate the

ab un ke nal Thonki ja rahi hai

mera ghar jaana zaruri hai

ki aise mein hamesha chhuTTiyon ka kal hota hai

chalo ghar ki taraf chalte hain

bahar barf-bari hai

main tum par nazm likhunga

mohabbat laDkiyon ko astabal mein chhoD aati hai

main tum ko beach khiDki mein biTha kar nazm likhunga

tumhein aata to hoga darmiyan se lauTna

main lauTne par nazm likhunga

ye masdar ism mazi ka nahin hai

tum jo kah do to bula lete hain ghar se ibn-e-muljim ko

mujhe apni zamin astabal ki qist deni hai

use bhi koi surat chahiye ghar se nikalne ki

(553) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Yun Hota To Kya Hota In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Jo Yun Hota To Kya Hota is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Jo Yun Hota To Kya Hota for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Jo Yun Hota To Kya Hota in PDF.