Wo Apne Hath Mein Duniya Ki Tahziben UThae Aaegi

wo apne hath mein duniya ki tahziben uThae aaegi aur gir paDegi

main naqshe ki madad se us ke girne ki KHabar dunga

samundar be-bizaat hai ugal deta hai nili kashtiyon ko

aasman khiDki se bahar phenk deta hai jahazon ko

sitare dekh kar chalte nahin miTTi uDa le jaegi un ko

so ye wo saaten hain jab nahin chalte sitare

aur miTTi phail jati hai

wo apni aastinen dho ke ghar aaegi aur un ko ujale mein sikhaegi

mohabbat ek Dhila lafz hai is ke simaTne ka

so wo to kushtani hai jo nahin nikla safar par aur naqshe ki madad se apne ghar pahuncha

main aankhen band kar lunga

wo lambi rahdari ke sire par aaegi aur gir paDegi

main naqshe ki madad se us ke girne ki KHabar dunga

(543) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Apne Hath Mein Duniya Ki Tahziben UThae Aaegi In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Wo Apne Hath Mein Duniya Ki Tahziben UThae Aaegi is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Wo Apne Hath Mein Duniya Ki Tahziben UThae Aaegi for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Wo Apne Hath Mein Duniya Ki Tahziben UThae Aaegi in PDF.