Wo Aankhen Kanwal Banin

wo aankhen kanwal banin aur KHushk huin

aur kanwal banin aur KHushk huin

koi dekhne aaya

aankhen aan ki aan mein kanwal banin aur KHushk huin

aur daldal phaila simaT gaya

aur raat ki chadar phail gai

koi dekhne aaya

aan ki aan mein daldal phaila simaT gaya

ab hathi dant ke rasiya aaen to aaen

tum ghar ki maili chadar le kar aae the

aur jhaDi mein chiDiyon ke anDe DhunDte the

aur KHush the

aur anDe hath hi hath mein TuT gae

tum roe the

aur rone wale ghar ja kar bhi rote hain

wo aankhen kanwal banin aur KHushk huin

aur kanwal banin aur KHushk huin

kal barish kaisi tez hui

nit baadal phaile diye jale

main chadar oDh ke baiTh gaya

jo chadar oDh ke baiTh gaya so chadar oDh ke baiTh gaya

phir patthar jaisa din nikla

wo aankhen kanwal banin aur KHushk huin aur kanwal banin aur KHushk huin

tum jangal ja kar dekhoge

jab patte miTTi mein dab jate hain

miTTi ke ho jate hain

ab patton ka kya rona

aur aankhon ka kya rona

aur daldal ka kya rona

wo hathi dant ke rasiya to aaenge

main kandha dene chala kisi ko

aur kahin ko chal nikla

ab jogi banun ya sher kahun

ab aankhen kanwal banen ya bujh jaen

ab daldal phaile ya simTe

ab daldal ka kya rona

ab aankhon ka kya rona

ab rone walon par rone walon ka kya rona

(600) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Aankhen Kanwal Banin In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Wo Aankhen Kanwal Banin is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Wo Aankhen Kanwal Banin for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Wo Aankhen Kanwal Banin in PDF.