Zaban Par Zaiqa Do Paniyon Ka Hai

zaban par zaiqa do paniyon ka hai

samundar darmiyan hota to is se puchhte

kis samt jaega musafir kal

KHunuk pani ke bajre par namak ki garm lahron mein

akela jaane wala jis taraf bhi jaega tanha nahin hoga

mohabbat paniyon par khelti hogi

so ye jal-makDiyon ki jal-sazi thi

ki sahil se ulajh kar log lahron mein utarte

aur un ko KHauf hota aansuon ke paniyon mein KHushk hone ka

main in ko paniyon ki nazr karta hun

so ai aadhe badan ki mehrban machhli

tum apne aansuon ko KHushk mat karna

mohabbat paniyon par khelti hogi

aur us ka zaiqa khul jaega

jis waqt jaega musafir kal

KHunuk pani ke bajre par namak ki garm lahron mein

(556) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaban Par Zaiqa Do Paniyon Ka Hai In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Zaban Par Zaiqa Do Paniyon Ka Hai is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Zaban Par Zaiqa Do Paniyon Ka Hai for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Zaban Par Zaiqa Do Paniyon Ka Hai in PDF.