Ye Shahr Tamam Andoh Mein Hai

ye shahr tamam andoh mein hai

is raat sipahi gasht par aaya nahin

tum ghar ja sakti ho

aur shahr ke bahar jitne shahr hain sab ke sab andoh mein hain

kal hafte ki tatil ka pahla din hoga

wo laDki ghas par baiTh kar likhti hai aur hansti hai

ek tez hansi jo sat gharon ko chir gai

wo laDki ghas par baiTh ke likhti hai aur hansti hai

un lafzon par jo us ne likhe

un lafzon par jo us se pahle aane wale sab ne likhe

un lafzon par jo us ke baad ke aane wale shayad is par likkhenge

wo hansti hai aur likhti hai aur hansti hai

aur shahr tamam andoh mein hai

koi patthar aan haTaega

is ghar ke bahar ek ghar hai

tum ghar mein ja kar so rahte

aur KHwab akele dam kahe ko aane hain

KHwab to rath par aate hain

aur tum ne rath-dewta ko KHwab mein Dal diya

ab shahr aur KHwab aur aankh ka rishta TuT gaya

ab dariya phailta jata hai

aur koi kinara pas nahin

aur dariya phailta jata hai

aur dariya phailta jata hai

aur dariya phailta jata hai

(691) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Shahr Tamam Andoh Mein Hai In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Ye Shahr Tamam Andoh Mein Hai is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Ye Shahr Tamam Andoh Mein Hai for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Ye Shahr Tamam Andoh Mein Hai in PDF.