Ye Kaise Log Hain

ye kaise log hain jo sang-basta jaliyon ki tarah aankhen band rakhte hain

sirhane laDkiyon ke raat ki bikhri kitaben hain

aur un ke KHwab andheron ke darakte rauzanon se

dhaDdhaDati billiyon ki tarah ghar ghar phail jate hain

main sari raat aawazon ka mubham shor sunta hun

aur aankhen band rakhta hun

aur un ke sath ho leta hun jin ka rasta mera muqaddar hai

so ab meri gawahi kaun dega

ki main apni gawahi ke liye zinda nahin hun

wo aise log the jo

dasht-e-be-diwar mein apne safar ka nind se aaghaz karte the

aur un ki ungliyan sahrai sanpon ki tarah un ke badan par rengti thin

aur un ki gardanen TuTi kamanon ki tarah un ke badan par jhulti thin

wo apni paT-khuli aankhon se sote the

wo chalte the to un ki aastinen panw mein aati thin

aur wo ruk ke chalte the

daraKHton mein kahin baiTha rupahli rut ka karinda

samundar samt ka qutbi sitara hai

samundar meri aankhon ka ishaara hai

use kahna wo meri mez par apni hatheli yun jamae mujh ko mat dekhe

use kahna sitaron aur un ki chaal mein kuchh farq hota hai

use kahna wo apni gardan-e-be-saKHta ke aaine mein mujh ko mat dekhe

use kahna wo apni billiyon ki gardanon par hath rakh kar mujh ko mat dekhe

use kahna mohabbat ek akeli naw hai

aur aasman aaina-bardari ka mujrim hai

(525) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kaise Log Hain In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Ye Kaise Log Hain is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Ye Kaise Log Hain for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Ye Kaise Log Hain in PDF.