Ye Ghar Jal Kar Girega

ye ghar jal kar girega

tum ne lau dhimi nahin ki

hijrati ghar chhoDne ke bhi koi aadab hote hain

chalo do chaar din rah lo

kisi ke aane jaane tak

jahan tak masiyat hai irtiqa ka dar khula hai

ye ghar jal kar girega

in parindon se kaho dahliz se aage nikal jaen

KHuda-e-KHushk-o-tar ki saltanat ek ghar nahin hai

aur mausam hain hawadis ke

abhi barish bhi hogi

abhi barish bhi hogi

KHema-dozon se kaho ek baadban si len

kisi ki bazyabi tak ye sara shahr

jalne ke liye baqi rahega

tum diye ki lau magar aahista rakhna

aur mausam hain hawadis ke

jahan tak masiyat hai irtiqa ka dar khula hai

(528) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ghar Jal Kar Girega In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Ye Ghar Jal Kar Girega is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Ye Ghar Jal Kar Girega for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Ye Ghar Jal Kar Girega in PDF.