Ye Ek Dohri Aziyyat Hai

ye ek dohri aziyyat hai

aziyyat be-sabab hansne ki

be-aram raaton ki kahani

shab-zadon ke samne

hans hans ke kahne ki

KHudawand KHuda ki mehrbani hai

duaen aap ki hain

aap ki sarkar mein zinda hun KHush hun

bataur nasehan milta hai koi

ba-rang-e-mehrban milta hai koi

ba-sai-e-raegan milta hai koi

wo kam-agah kam-ehsas kam-awaz laDki hai

wo laDki mujh se milti hai

magar andar utar jae to chubhti hai

wo apni kam-sawadi jaanti hai aur sisakti hai

ajab surat hai wo jab bhi kahin jae to aa jae

kahin rasta kinare mujh se Takrae to aa jae

kabhi bhi apni kaj-fahmi pe ro jae to aa jae

hawa-e-sham ki aawaz sun pae to aa jae

hawa-e-sham ye kaisi mohabbat hai

wo laDki mujh se milti hai

magar andar utar jae to chubhti hai

wo apni kam-sawadi jaanti hai aur sisakti hai

main apni kam-sawadi jaanta hun aur hansta hun

ye ek dohri aziyyat hai

(478) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ek Dohri Aziyyat Hai In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Ye Ek Dohri Aziyyat Hai is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Ye Ek Dohri Aziyyat Hai for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Ye Ek Dohri Aziyyat Hai in PDF.