Main Dur Ho Ke Bhi Us Se Juda Nahin Hota

main dur ho ke bhi us se juda nahin hota

hamare bich koi fasla nahin hota

baghair us ke ho ehsas-e-zindagi ka safar

ye sochta to hun par hausla nahin hota

wo is tarah se meri zindagi ka hissa hai

is ek his ka badal dusra nahin hota

kiya hai gardish-e-haalat ne mujhe majbur

wagarna zarf chhalakta sada nahin hota

ye sab hai sehr usi nargisi nigahi ka

mujhe tha faKHr kabhi ki nasha nahin hota

na jama karte jo lakDi siyasaton ke giroh

dhuan to shahr se hargiz uTha nahin hota

(540) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Dur Ho Ke Bhi Us Se Juda Nahin Hota In English By Famous Poet Mohammad Azhar Shams. Main Dur Ho Ke Bhi Us Se Juda Nahin Hota is written by Mohammad Azhar Shams. Read famous Poem Main Dur Ho Ke Bhi Us Se Juda Nahin Hota for youth and Student by Mohammad Azhar Shams. Free Download Main Dur Ho Ke Bhi Us Se Juda Nahin Hota in PDF.